Header Ads

Computer Me Folder Colour Kaise Change Kare

Ek Pichle post me mene apko Computer Ki Windows File download karne ke bare me bataya tha. jisse app Windows ki DVD ya Pendrive ke jarirye bhi windows Installation kar Sakte hai. Is video me hum apko computer ke Folder ka colour change aur unko stylish Show karwana Batayenge.

Normally computer ke folder ka colour Yellow Hota hai. jo ki ab Boring hone laga hai hum chahe to computer ka colour apne favorite colour ke sath change kar sakte hai. 

Iske liye ye post apko bus ek bar samajhna hoga.



Computer Me Folder Colour Kaise Change
Change folder colours


Change computer Folder Colours

Computer me storage karne ke liye apko kisi bhi folder me apne data storage kar dete hai aur Us Folder ko Dusre Folder ke tarah Chhod dete hai. App Usko Ek Alag colour ka folder create kar usko High-light kar sakte hai

Uske Liye Sabse Phele Jis folder ka colour change karna hai us folder par jaye.

Folder ko select karne ke bad us folder par RIGHT CLICK kijiye Aur us folder ke liye sabhi option open ho jayenge.



Sabhi option aane ke bad sabse Neeche Properties ka option hota hai. To apko us Folder ki Properties option par click karna hai

Properties ke Bad Us setting me Jakar Customize par click karna hota hai jisse us folder ko app customize kar sakte hai 

Customize par click karne bad apko folder icon par button dikhega Waha Change Icon par Click karke app Folder Icon select kar Sakte hai Aur apply par click karne ke bad us folder ka ICON change ho Jayega.
Is Tarike se app kisi bhi folder ka icon change kar sakte hai. uske liye apko bus is method ko samajhna hoga aur kabhi bhi app kisi bhi computer me folder ke sath colour change kar sakte hai

Dosto Agli ek post me folder me lock lagane ki sabse acchi tips bataunga. Aur dosot is post share karna mat bhulna 
Thanks You For visiting my Website 

No comments

Powered by Blogger.