Header Ads

What Is RAM And ROM । Different In Hindi

Windows 7/8/10 Ki ISO File Download Guide Ke Bad Aaj Hum Is Post me apko RAM Aur ROM Ke Bare Me batane Ja rahe hai. Agar apne computer system Aur Mobil Ke Bare Me RAM Or ROM ki Baate Jarur suni ho. Aur apne Bhi RAM or ROM Ke Bare me Janne Ki koshish ki ho. Es Post Me Hum Dono Ke Bare Me Batayenge Aur In Dono Me Kya Different hai Uske Bare Me Jankari Denge.


What Is RAM And ROM in Hindi
What Is RAM And ROM

RAM And ROM Me Anter:-

Yaha Kuch Step hai jinme App Anter ko Acche Se Samajh Sakte hai

Full Name Of RAM or ROM

RAM = Random Access Memory
ROM = Read Only Memory

In Dono Ke Naam Me Ye Diffrent hai. RAM Kisi File ko Access Karne Ke Liye Kaam me aati hai. Aur ROM Kisi File Ko Read Karne Ke Kam Me Aati hai

Hardware Of RAM Or Ram:

RAM Ek Chip jaisy hota hai. Agar apne dekha ho to Computer Ki RAM Lambi hoti hai aur Wo Chips se Bani hoti hai
ROM: Rom Ek Magnetic Drive hota hai. 

Main Work of RAM:

Jab app apne system ko Start karte hai Chahe wo computer ho ya mobil, us time se RAM ka Work Start Ho Jata hai. Computer Me Jo Command aap dete hai wo RAM ki Madad se hi aage badhte hai. RAM jitni jyada adhik hogi apka system utna hi tej chalega. Kyu RAM hi Processor ko Fastly Process Karne Ki Kshamta Pradan karta hai
Ram ek Memory hoti hai Jo ki Temporarily Basis par hoti hai. Power supply start hone se leker power supply Ke End Hone tak Iska Kam hota hai Aur Jab dubara supply hogi to iska kaam dubara New Level se start ho jayega. 


Agar Simple Words Me Samajhaya Jaye to Insaan ka Memory uska Mind hota hai Aur computer laptop ya Smartphone Ki Memory uski RAM hoti hai. Insaan ka Mind jitna jyada hota hai wo utne hi Fastly Work karta hai.

Main Work Of ROM:

Apke Mobil Me Internal Memory hoti hai wo Ek Tarike Se ROM hoti hai jisme app Data Save hota hai. Aur supply On hone par RAM ki Madad Se Rom me Data ko Access Karte hai. Computer Me dono Bahut Jaruri hai. Ram ki Madad se Koi bhi file hum khol sakte hai par Wo File ROM me Store hoti hai. ROM Me Hum Data Store Ko Delete nhi Sakte hai

Apne Dekha hoga ki Computer ki Process jo hote hai wo RAM ki Performance Par Depend karte hai. RAM agar jyada hai to Computer Hang nhi hota hai.
Computer Ki Hang hona Is karan se hi hota hai. RAM Kam hone Par jyada jaldy computer work nhi karta hai. Aur jyada command dene par computer Hanging Problem show karta hai
Ram ka Size 256 MB, 512 MB , 1GB , 2GB, 4GB Is Tarike Ke Hote hai. ROM ka size bada hota hai 4GB , 32GB, 128 GB Etc.

To Dosto RAM or ROM me Kuch Minor Diffrent hote hai. Jo ki Har Insaan Ko Samajhna chahiye. 
to umeed karunga ki apko Ye Post Jarur pasand aaya hoga



No comments

Powered by Blogger.